Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har ghaDi ek hi jaisa kabhi socha na karo

Naseem Ahmad Naseem

har ghaDi ek hi jaisa kabhi socha na karo

Naseem Ahmad Naseem

MORE BYNaseem Ahmad Naseem

    har ghaḌī ek jaisā kabhī sochā na karo

    vaqt harjā.ī hai tum is pe bharosā na karo

    vo to bādal hai kahīñ ke baras jā.egā

    is qadar TuuT ke us shaḳhs ko chāhā na karo

    ye bhī mumkin hai ki tum haath jalā lo apnā

    merī maazī kabhī raakh kuredā na karo

    laakh apne hoñ kisī pal bhī badal jā.eñge

    ret ke mahal pe itnā bhī bharosā na karo

    chand kirneñ tire vāste kaafī haiñ 'nasīm'

    ḳhaak ho jāoge sūraj tamannā na karo

    har ghaDi ek hi jaisa kabhi socha na karo

    waqt harjai hai tum is pe bharosa na karo

    wo to baadal hai kahin ja ke baras jaega

    is qadar TuT ke us shaKHs ko chaha na karo

    ye bhi mumkin hai ki tum hath jala lo apna

    meri mazi ki kabhi rakh kureda na karo

    lakh apne hon kisi pal bhi badal jaenge

    ret ke mahal pe itna bhi bharosa na karo

    chand kirnen hi tere waste kafi hain 'nasim'

    KHak ho jaoge suraj ki tamanna na karo

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now