har ghaDi har lamha uThte pattharon ke sath main
har ghaḌī har lamha uThte pattharoñ ke saath maiñ
TuuTe TuuTe kitne shīshoñ ke gharoñ ke saath maiñ
āñdhiyoñ ke dosh par sham.eñ jalātā roz o shab
qahr meñ biphrī havā ke lashkaroñ ke saath maiñ
sabza-zāroñ kī tamannā mujh meñ sargarm-e-safar safar
chilchilātī dhuup ke nāma-baroñ ke saath maiñ
rafta rafta shaam ke nā-mehrbāñ sailāb meñ
Dūbtā sā ujle ujle se paroñ ke saath maiñ
maiñ bhaTaktī ummatoñ kā ek dard-e-mushtarak
har zamāne meñ rahā paiġhambaroñ ke saath maiñ
dā.era-dar-dā.era chāroñ taraf bikhrā huā
ek samundar meñ sadā ke kañkaroñ ke saath maiñ
tū na jaane kin añdheroñ meñ chhupī baiThī huī
rāsta chuntā huā kitne Daroñ ke saath maiñ
har ghaDi har lamha uThte pattharon ke sath main
TuTe TuTe kitne shishon ke gharon ke sath main
aandhiyon ke dosh par shamen jalata roz o shab
qahr mein biphri hawa ke lashkaron ke sath main
sabza-zaron ki tamanna mujh mein sargarm-e-safar safar
chilchilati dhup ke nama-baron ke sath main
rafta rafta sham ke na-mehrban sailab mein
Dubta sa ujle ujle se paron ke sath main
main bhaTakti ummaton ka ek dard-e-mushtarak
har zamane mein raha paighambaron ke sath main
daera-dar-daera chaaron taraf bikhra hua
ek samundar mein sada ke kankaron ke sath main
tu na jaane kin andheron mein chhupi baiThi hui
rasta chunta hua kitne Daron ke sath main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.