har ghaDi ka sath hai ab kaun si tanhai hai

har ghaDi ka sath hai ab kaun si tanhai hai
Ravindra Chaswal Rafeeq
MORE BYRavindra Chaswal Rafeeq
har ghaḌī kā saath hai ab kaun sī tanhā.ī hai
'aks terā saath mere yaad kī parchhā.ī hai
mausamoñ kī barf bhī nākām ho kar rah ga.ī
aag us ne tan badan meñ is qadar dahkā.ī hai
bhiiḌ kā har faisla qānūn kaise ban gayā
baat sachchī hai magar is baat meñ rusvā.ī hai
hai nasīboñ se milā ġham kā ḳhazānā dosto
ye tabī'at aaj lekin kis liye ghabrā.ī hai
suukh kar kāñTā huī hai phuul jaisī thī kabhī
maut behtar lag rahī hai zindagī kum.hlā.ī hai
Tuut kar bah jā.ūñgā maiñ bhī kināroñ kī tarah
dekh leñge phir samundar jo tirī gahrā.ī hai
moḌ koī bhī nahīñ thā is kahānī meñ 'rafīq'
baat sīdhī saaf thī kyoñ aap ne uljhā.ī hai
har ghaDi ka sath hai ab kaun si tanhai hai
'aks tera sath mere yaad ki parchhai hai
mausamon ki barf bhi nakaam ho kar rah gai
aag us ne tan badan mein is qadar dahkai hai
bhiD ka har faisla qanun kaise ban gaya
baat sachchi hai magar is baat mein ruswai hai
hai nasibon se mila gham ka KHazana dosto
ye tabi'at aaj lekin kis liye ghabrai hai
sukh kar kanTa hui hai phul jaisi thi kabhi
maut behtar lag rahi hai zindagi kumhlai hai
Tut kar bah jaunga main bhi kinaron ki tarah
dekh lenge phir samundar jo teri gahrai hai
moD koi bhi nahin tha is kahani mein 'rafiq'
baat sidhi saf thi kyon aap ne uljhai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.