Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har ghaDi KHauf ke girdab mein rahna hi nahin

Hasan Zaheer Raja

har ghaDi KHauf ke girdab mein rahna hi nahin

Hasan Zaheer Raja

MORE BYHasan Zaheer Raja

    har ghaḌī ḳhauf ke girdāb meñ rahnā nahīñ

    ab mujhe halqa-e-ahbāb meñ rahnā nahīñ

    maiñ tirī baat karā detā huuñ ḳhud se lekin

    aañkh kahtī hai kisī ḳhvāb meñ rahnā nahīñ

    naam bhī letā nahīñ ab vo kahīñ jaane

    kal jo kahtā thā ki punjab meñ rahnā nahīñ

    ham mulāqāt ke auqāt baḌhā deñ lekin

    der tak chāñd ko tālāb meñ rahnā nahīñ

    vo to aise mujhe aap bulātī hai 'hasan'

    jab ki mujh ko adab-ādāb meñ rahnā nahīñ

    har ghaDi KHauf ke girdab mein rahna hi nahin

    ab mujhe halqa-e-ahbab mein rahna hi nahin

    main teri baat kara deta hun KHud se lekin

    aankh kahti hai kisi KHwab mein rahna hi nahin

    nam bhi leta nahin ab wo kahin jaane ka

    kal jo kahta tha ki punjab mein rahna hi nahin

    hum mulaqat ke auqat baDha den lekin

    der tak chand ko talab mein rahna hi nahin

    wo to aise hi mujhe aap bulati hai 'hasan'

    jab ki mujh ko adab-adab mein rahna hi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now