Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har gul-e-taza hamare hath par baiat kare

Zaheer Siddiqui

har gul-e-taza hamare hath par baiat kare

Zaheer Siddiqui

MORE BYZaheer Siddiqui

    har gul-e-tāza hamāre haath par bai.at kare

    us zulfoñ tak pahuñchne ke liye minnat kare

    dil bachā.e sarāhe ātish-e-ruḳhsār ko

    jis ghar jaltā ho vo sho.aloñ kyā mid.hat kare

    aam ke phūloñ ko ḳhud jhaaḌ de aur is ke ba.ad

    be-samar shāḳhoñ se āvāra havā hujjat kare

    shahr vāloñ ko bhī hājat hai anājoñ magar

    ḳhush-libāsī mausam-e-barsāt par la.anat kare

    yuuñ bahāne se chhupā luuñ apne ashkoñ ko magar

    aañkh surḳhī dil-e-pur-dard ġhībat kare

    ḳhuun ke do chaar qatre dil meñ haiñ baaqī 'zahīr'

    dashna-e-mizhgāñ se kah do ik zarā zahmat kare

    har gul-e-taza hamare hath par baiat kare

    us ki zulfon tak pahunchne ke liye minnat kare

    dil bachae ya sarahe aatish-e-ruKHsar ko

    jis ka ghar jalta ho wo shoalon ki kya midhat kare

    aam ke phulon ko KHud hi jhaD de aur is ke baad

    be-samar shaKHon se aawara hawa hujjat kare

    shahr walon ko bhi hajat hai anajon ki magar

    KHush-libasi mausam-e-barsat par lanat kare

    yun bahane se chhupa lun apne ashkon ko magar

    aankh ki surKHi dil-e-pur-dard ki ghibat kare

    KHun ke do chaar qatre dil mein hain baqi 'zahir'

    dashna-e-mizhgan se kah do ek zara zahmat kare

    Source:

    Roshan Waraq Waraq (Pg. 25)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now