Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har gul us bagh ka nazron mein dahan hai goya

Shaikh Zahuruddin Hatim

har gul us bagh ka nazron mein dahan hai goya

Shaikh Zahuruddin Hatim

MORE BYShaikh Zahuruddin Hatim

    har gul us baaġh nazroñ meñ dahāñ hai goyā

    sūrat-e-ġhuncha jo dekhūñ to zabāñ hai goyā

    taak tarah sabhī mast paḌe aiñDeñ haiñ

    mai-kada ab girav-e-bāda-kashāñ hai goyā

    chashm hai turk nigah neza o mizhgāñ tarkash

    zulf-e-pur-pech har halqa kamāñ hai goyā

    bhiḌātā hai hamesha mujhe ḳhūñ-ḳhvāroñ se

    dil baġhal-bīch mirā dushman-e-jāñ hai goyā

    'hātim' ab us sabhī muñh taraf dekhe haiñ

    shīsha majlis meñ yahāñ pīr-e-muġhāñ hai goyā

    har gul us bagh ka nazron mein dahan hai goya

    surat-e-ghuncha jo dekhun to zaban hai goya

    tak ki tarah sabhi mast paDe ainDen hain

    mai-kada ab giraw-e-baada-kashan hai goya

    chashm hai turk nigah neza o mizhgan tarkash

    zulf-e-pur-pech ka har halqa kaman hai goya

    ja bhiData hai hamesha mujhe KHun-KHwaron se

    dil baghal-bich mera dushman-e-jaan hai goya

    'hatim' ab us ki sabhi munh ki taraf dekhe hain

    shisha majlis mein yahan pir-e-mughan hai goya

    Source:

    Diwan Zadah (Pg. 110)

    • Author: Shaikh Zohoruddin Hatim
      • Edition: 2011
      • Publisher: National Mission for Manuscripts, New Delhi
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now