Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har hasin KHwab dam-e-subh bikharte dekha

Bismil Aazmi

har hasin KHwab dam-e-subh bikharte dekha

Bismil Aazmi

MORE BYBismil Aazmi

    har hasīñ ḳhvāb dam-e-sub.h bikharte dekhā

    gesū-e-ranj-o-alam ko bhī sañvarte dekhā

    husn-e-maġhrūr ko be-maut marte dekhā

    ishq-e-majbūr ko har dar se guzarte dekhā

    qad baḌhāne ke liye ḳhabroñ meñ aane ke liye

    husn-e-afkār ke dāman ko kutarte dekhā

    maiñ ne ābād hue dekhā hai vīrānoñ ko

    dil duniyā ko ka.ī baar bikharte dekhā

    Dūbtā hai jahāñ har roz chamaktā dekhā

    zulmat-e-shab meñ vahīñ chāñd ubharte dekhā

    fasl-e-gul meñ bhī hai ġhunchoñ pe udāsī samāñ

    shāḳh par kāñToñ bhī rang nikharte dekhā

    fan dahlīz pe is ahd ke fankāroñ ko

    apnī peshānī shab-o-roz ragaḌte dekhā

    har hasin KHwab dam-e-subh bikharte dekha

    gesu-e-ranj-o-alam ko bhi sanwarte dekha

    husn-e-maghrur ko be-maut hi marte dekha

    ishq-e-majbur ko har dar se guzarte dekha

    qad baDhane ke liye KHabron mein aane ke liye

    husn-e-afkar ke daman ko kutarte dekha

    main ne aabaad hue dekha hai viranon ko

    dil ki duniya ko kai bar bikharte dekha

    Dubta hai jahan har roz chamakta dekha

    zulmat-e-shab mein wahin chand ubharte dekha

    fasl-e-gul mein bhi hai ghunchon pe udasi ka saman

    shaKH par kanTon ka bhi rang nikharte dekha

    fan ki dahliz pe is ahd ke fankaron ko

    apni peshani shab-o-roz ragaDte dekha

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now