har ek chehra bahut sahma hua hai
har ik chehra bahut sahmā huā hai
tirī bastī ko āḳhir kyā huā hai
bahut ġhamgīn lauTe haiñ parinde
falak par aaj kyā aisā huā hai
zarā socho koī to baat hogī
koī raste pe kyoñ baiThā huā hai
huī jaatī hai kyoñ be-rabt dhaḌkan
ye ab kis baat kā dhaḌkā huā hai
bahut pyāre haiñ ye kūche ye galiyāñ
kabhī apnā yahāñ charchā huā hai
sunā hai raat puure chāñd kī hai
samundar shaam se bahkā huā hai
mire dil meñ koī mā'sūm bachcha
kisī se aaj tak rūThā huā hai
har ek chehra bahut sahma hua hai
teri basti ko aaKHir kya hua hai
bahut ghamgin lauTe hain parinde
falak par aaj kya aisa hua hai
zara socho koi to baat hogi
koi raste pe kyon baiTha hua hai
hui jati hai kyon be-rabt dhaDkan
ye ab kis baat ka dhaDka hua hai
bahut pyare hain ye kuche ye galiyan
kabhi apna yahan charcha hua hai
suna hai raat pure chand ki hai
samundar sham se bahka hua hai
mere dil mein koi ma'sum bachcha
kisi se aaj tak ruTha hua hai
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 33)
- Author : Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.