Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har ek jaanib un aankhon ka ishaara ja raha hai

Farhat Ehsas

har ek jaanib un aankhon ka ishaara ja raha hai

Farhat Ehsas

MORE BYFarhat Ehsas

    har ik jānib un āñkhoñ ishāra rahā hai

    hameñ kin imtihānoñ se guzārā rahā hai

    kināre ko bachā.ūñ to nadī jaatī hai mujh se

    nadī ko thāmtā huuñ to kinārā rahā hai

    maiñ Duubā rahā huuñ un sadāoñ ke bhañvar meñ

    mujhe ab chāroñ jānib se pukārā rahā hai

    ta.āqub mat karo us ke badan raushnī

    ki ye to sirf us isti.āra rahā hai

    ye saarā khel fat.h-e-shāh hai jis ḳhātir

    pyādoñ jaise insānoñ ko haarā rahā hai

    ab us ruḳhsār til hai alāmat us bhañvar

    jahāñ saarā samarqand-o-buḳhārā rahā hai

    mire ash.ār haiñ vo āsmānī ḳhvāb jin ko

    mirī miTTī ke hoñThoñ par utārā rahā hai

    vahīñ chashm-o-lab-o-ruḳhsār bhī jaate haiñ us ke

    jahāñ ye husn saarā idāra rahā hai

    maiñ sāhil ho gayā huuñ jab se vo dariyā huā hai

    nazar Thahrī huī hai aur nazārā rahā hai

    to kyā ye vasl shab hai ki jab ghar se bichhaḌ ke

    na jaane kis ke ghar merā sitārā rahā hai

    alam-bardār tanhā.ī thā apnā 'farhat-ehsās'

    hujūm-e-shahr ke hāthoñ jo maarā rahā hai

    har ek jaanib un aankhon ka ishaara ja raha hai

    hamein kin imtihanon se guzara ja raha hai

    kinare ko bachaun to nadi jati hai mujh se

    nadi ko thamta hun to kinara ja raha hai

    main Duba ja raha hun un sadaon ke bhanwar mein

    mujhe ab chaaron jaanib se pukara ja raha hai

    taaqub mat karo us ke badan ki raushni ka

    ki ye to sirf us ka istiara ja raha hai

    ye sara khel fath-e-shah ka hai jis ki KHatir

    pyaadon jaise insanon ko haara ja raha hai

    ab us ruKHsar ka til hai alamat us bhanwar ki

    jahan sara samarqand-o-buKHara ja raha hai

    mere ashaar hain wo aasmani KHwab jin ko

    meri miTTi ke honThon par utara ja raha hai

    wahin chashm-o-lab-o-ruKHsar bhi jate hain us ke

    jahan ye husn ka sara idara ja raha hai

    main sahil ho gaya hun jab se wo dariya hua hai

    nazar Thahri hui hai aur nazara ja raha hai

    to kya ye wasl ki shab hai ki jab ghar se bichhaD ke

    na jaane kis ke ghar mera sitara ja raha hai

    alam-bardar tanhai tha apna 'farhat-ehsas'

    hujum-e-shahr ke hathon jo mara ja raha hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now