Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har ek lab par KHamoshi ki sada thi

Deepak Qamar

har ek lab par KHamoshi ki sada thi

Deepak Qamar

MORE BYDeepak Qamar

    har ik lab par ḳhamoshī sadā thī

    duāoñ meñ badaltī havā thī

    kushāda phailte āñgan diloñ ke

    sabhī ke vāste ghar meñ jagah thī

    jise samjhe hue the raushnī ham

    kisī maañ parī jaisī duā thī

    jo bachchī kheltī thī nañge pairoñ

    vo pahlī rut jaise ghaTā thī

    ratan jaanā thā jis ko manthanoñ

    ghaḌī vo zindagī bhar sazā thī

    bhañvar the dā.eroñ ke āsmāñ meñ

    ye gardish ek nuqte ḳhatā thī

    har ek lab par KHamoshi ki sada thi

    duaon mein badalti si hawa thi

    kushada phailte aangan dilon ke

    sabhi ke waste ghar mein jagah thi

    jise samjhe hue the raushni hum

    kisi man ki pari jaisi dua thi

    jo bachchi khelti thi nange pairon

    wo pahli rut ki hi jaise ghaTa thi

    ratan jaana tha jis ko manthanon ka

    ghaDi wo zindagi bhar ki saza thi

    bhanwar the daeron ke aasman mein

    ye gardish ek nuqte ki KHata thi

    Source:

    Autaar (Pg. 18)

    • Author: Deepak Qamar
      • Year of Publication: 1987
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now