Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har ek manzar badalta ja raha hai

Rais Siddiqui

har ek manzar badalta ja raha hai

Rais Siddiqui

MORE BYRais Siddiqui

    har ik manzar badaltā rahā hai

    ye lamha bhī guzartā rahā hai

    tirā ehsās ik muddat se merī

    rag-o-pai meñ utartā rahā hai

    shikāyat zindagī se karte karte

    vo ik ik lamha martā rahā hai

    paḌā hai jab se terā aks is meñ

    ye ā.īna sañvartā rahā hai

    varaq yādoñ ke kis ne khol Daale

    mirā kamra mahaktā rahā hai

    ye duniyā to simaTtī rahī hai

    magar insāñ bikhartā rahā hai

    har ek manzar badalta ja raha hai

    ye lamha bhi guzarta ja raha hai

    tera ehsas ek muddat se meri

    rag-o-pai mein utarta ja raha hai

    shikayat zindagi se karte karte

    wo ek ek lamha marta ja raha hai

    paDa hai jab se tera aks is mein

    ye aaina sanwarta ja raha hai

    waraq yaadon ke kis ne khol Dale

    mera kamra mahakta ja raha hai

    ye duniya to simaTti ja rahi hai

    magar insan bikharta ja raha hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now