har ek taKHliq paedar ho aisa nahin hota
har ik taḳhlīq pā.edār ho aisā nahīñ hotā
hamesha be-karāñ iz.hār ho aisā nahīñ hotā
ye maanā she'r meñ takrār-e-lafzī husn-parvar hai
magar har baat meñ takrār ho aisā nahīñ hotā
shutur-gurba kī ḳhāmī ho yā koī 'aib-e-ītā ho
ġhazal meñ 'aib kā bāzār ho aisā nahīñ hotā
koī matla' to kahtā hai magar maqta' nahīñ kahtā
magar har she'r pā.edār ho aisā nahīñ hotā
ravānī vazn-o-bahr-o-qāfiya kā paas ho jis meñ
ġhazal vo zīnat-e-aḳhbār ho aisā nahīñ hotā
tamanna hai agar sāhil ko paane kī to kuchh kiije
binā patvār kashtī paar ho aisā nahīñ hotā
agar himmat kareñ to pā.eñge 'nāshād' bhī manzil
koī rasta sadā dushvār ho aisā nahīñ hotā
har ek taKHliq paedar ho aisa nahin hota
hamesha be-karan izhaar ho aisa nahin hota
ye mana she'r mein takrar-e-lafzi husn-parwar hai
magar har baat mein takrar ho aisa nahin hota
shutur-gurba ki KHami ho ya koi 'aib-e-ita ho
ghazal mein 'aib ka bazar ho aisa nahin hota
koi matla' to kahta hai magar maqta' nahin kahta
magar har she'r paedar ho aisa nahin hota
rawani wazn-o-bahr-o-qafiya ka pas ho jis mein
ghazal wo zinat-e-aKHbar ho aisa nahin hota
tamanna hai agar sahil ko pane ki to kuchh kije
bina patwar kashti par ho aisa nahin hota
agar himmat karen to paenge 'nashad' bhi manzil
koi rasta sada dushwar ho aisa nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.