Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har intiKHab yahan mazi-o-aqab ka hai

Zafar Moradabadi

har intiKHab yahan mazi-o-aqab ka hai

Zafar Moradabadi

MORE BYZafar Moradabadi

    har intiḳhāb yahāñ māzī-o-aqab hai

    savāl merā nahīñ hai mire nasab hai

    shu.ūr-e-lauh-o-qalam se zuhūr-e-mahfil tak

    har ek be-adabī par libās adab hai

    na koī daad na tahsīn sirf ḳhāmoshī

    mire suḳhan pe terā tabsira ġhazab hai

    ho ek fard to ho fard-e-jurm bhī aayad

    sitamgarī to yahāñ kārobār sab hai

    ugā nahīñ koī sūraj mire muqaddar

    dinoñ pe jaise musallat itaab shab hai

    tamām zahmateñ mere gunāh ke saa.e

    tamām rāhateñ in.aam mere rab hai

    zafar ġhazal hai ki zaḳhmoñ hāshiya-bandī

    na ḳhāl-o-ḳhat koī tazkira na lab hai

    har intiKHab yahan mazi-o-aqab ka hai

    sawal mera nahin hai mere nasab ka hai

    shuur-e-lauh-o-qalam se zuhur-e-mahfil tak

    har ek be-adabi par libas adab ka hai

    na koi dad na tahsin sirf KHamoshi

    mere suKHan pe tera tabsira ghazab ka hai

    ho ek fard to ho fard-e-jurm bhi aayad

    sitamgari to yahan karobar sab ka hai

    uga nahin koi suraj mere muqaddar ka

    dinon pe jaise musallat itab shab ka hai

    tamam zahmaten mere gunah ke sae

    tamam rahaten inam mere rab ka hai

    zafar ghazal hai ki zaKHmon ki hashiya-bandi

    na KHal-o-KHat ka koi tazkira na lab ka hai

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 703)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now