Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har jagah aapne mumtaz banaya hai mujhe

Aziz Warsi

har jagah aapne mumtaz banaya hai mujhe

Aziz Warsi

MORE BYAziz Warsi

    har jagah aap ne mumtāz banāyā hai mujhe

    vāqa'ī qābil-e-ezāz banāyā hai mujhe

    jis pe mar miTne har ek qasam khātā hai

    vahī shoḳhī vahī andāz banāyā hai mujhe

    vāqa'ī vāqif-e-idrāk-e-do-ālam tum ho

    tum ne vāqif-e-har-rāz banāyā hai mujhe

    jis fasāne abhī tak koī anjām nahīñ

    us fasāne āġhāz banāyā hai mujhe

    kabhī naġhma huuñ kabhī dhun huuñ kabhī lai huuñ 'azīz'

    aap ne kitnā hasīñ saaz banāyā hai mujhe

    har jagah aap ne mumtaz banaya hai mujhe

    waqa'i qabil-e-ezaz banaya hai mujhe

    jis pe mar miTne ki har ek qasam khata hai

    wahi shoKHi wahi andaz banaya hai mujhe

    waqa'i waqif-e-idrak-e-do-alam tum ho

    tum ne hi waqif-e-har-raaz banaya hai mujhe

    jis fasane ka abhi tak koi anjam nahin

    us fasane ka hi aaghaz banaya hai mujhe

    kabhi naghma hun kabhi dhun hun kabhi lai hun 'aziz'

    aap ne kitna hasin saz banaya hai mujhe

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    har jagah aapne mumtaz banaya hai mujhe Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now