har KHushi hoti thi aazar nahin hote the
har ḳhushī hotī thī āzār nahīñ hote the
jab ki ham aap ke bīmār nahīñ hote the
tū hameñ chhoḌ ke shādāb nazar aane lagā
itne dilkash tire ruḳhsār nahīñ hote the
baat zū-mā'nī kabhī vo bhī nahīñ kartā thā
itne ham bhī to samajh-dār nahīñ hote the
ek muddat se hameñ qaid meñ rakkhā huā thā
aur ham bhī kabhī bezār nahīñ hote the
bas tire aage koī chaal nahīñ chaltī thī
varna āsānī se yalġhār nahīñ hote the
har KHushi hoti thi aazar nahin hote the
jab ki hum aap ke bimar nahin hote the
tu hamein chhoD ke shadab nazar aane laga
itne dilkash tere ruKHsar nahin hote the
baat zu-ma'ni kabhi wo bhi nahin karta tha
itne hum bhi to samajh-dar nahin hote the
ek muddat se hamein qaid mein rakkha hua tha
aur hum bhi kabhi bezar nahin hote the
bas tere aage koi chaal nahin chalti thi
warna aasani se yalghaar nahin hote the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.