Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har KHushi tere liye har na-KHushi tere liye

Sultan Shakir Hashmi

har KHushi tere liye har na-KHushi tere liye

Sultan Shakir Hashmi

MORE BYSultan Shakir Hashmi

    har ḳhushī tere liye har nā-ḳhushī tere liye

    ab to ham ne vaqf kar zindagī tere liye

    ashk āñkhoñ meñ haiñ dil meñ bekalī tere liye

    zindagī se duur haiñ ab zindagī tere liye

    dard-e-dil marg-e-tamannā hashr-e-ġham soz-e-firāq

    ham ne har aafat se hai dostī tere liye

    allah allah ehtimām-e-jazba-e-zauq-e-niyāz

    rok hai jaise ġhunchoñ ne hañsī tere liye

    ab kisī se ham ġham-e-dil shikāyat kyā kareñ

    ham ne jab ġham par luTā har ḳhushī tere liye

    ne raushan kar diye bujhtī umīdoñ ke charāġh

    ruuh āñkhoñ meñ palaT kar aa ga.ī tere liye

    kal tire dam se añdherā bhī thā faḳhr-e-kā.enāt

    aaj jaise ro rahī hai raushnī tere liye

    ai ġham-e-dil tujh se thak kar māñgte haiñ sab ajal

    maiñ ajal se māñgtā huuñ zindagī tere liye

    vā.e-qismat aaj ne bhī use Thukrā diyā

    jis ne duniyā bhar se chhoḌī dostī tere liye

    har KHushi tere liye har na-KHushi tere liye

    ab to hum ne waqf kar di zindagi tere liye

    ashk aankhon mein hain dil mein bekali tere liye

    zindagi se dur hain ab zindagi tere liye

    dard-e-dil marg-e-tamanna hashr-e-gham soz-e-firaq

    hum ne har aafat se ki hai dosti tere liye

    allah allah ehtimam-e-jazba-e-zauq-e-niyaz

    rok li hai jaise ghunchon ne hansi tere liye

    ab kisi se hum gham-e-dil ki shikayat kya karen

    hum ne jab gham par luTa di har KHushi tere liye

    tu ne raushan kar diye bujhti umidon ke charagh

    ruh aankhon mein palaT kar aa gai tere liye

    kal tere dam se andhera bhi tha faKHr-e-kaenat

    aaj jaise ro rahi hai raushni tere liye

    ai gham-e-dil tujh se thak kar mangte hain sab ajal

    main ajal se mangta hun zindagi tere liye

    wae-qismat aaj tu ne bhi use Thukra diya

    jis ne duniya bhar se chhoDi dosti tere liye

    Source:

    Ehsas (Pg. 33)

    • Author: Sultan Shakir Hashmi
      • Publisher: United India Press, Lucknow
      • Year of Publication: 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now