Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har KHwab yaad rakhne ka paida sabab karen

Fareed Parbati

har KHwab yaad rakhne ka paida sabab karen

Fareed Parbati

MORE BYFareed Parbati

    har ḳhvāb yaad rakhne paidā sabab kareñ

    jo aaj tak na kar sake vo kaam ab kareñ

    hone lagā yahāñ pe balāoñ phir nuzūl

    ab kuchh na kar sakeñge chalo zikr-e-rab kareñ

    jugnū-misāl ḳhud ko jalā.eñge raat bhar

    mā'mūr is tarīqe se vo tīra-shab kareñ

    ham ne to us saath nibhāyā hai der tak

    ab us se duur jaane kār-e-ajab kareñ

    sab jiit par manāte haiñ aksar yahāñ pe jashn

    ham kyoñ bapā na haar pe jashn-e-tarab kareñ

    āsūda jism-o-jāñ hoñ kabhī shahr-e-sang meñ

    is umiid par na yahāñ chashm-o-lab kareñ

    lahroñ ke saath aane lagī ret pai-ba-pai

    kab tak darāz ham yūñhī dast-e-talab kareñ

    dhuñdlā gayā hai izz-o-sharaf har ek naqsh

    ab kis umiid par yahāñ fikr-e-nasab kareñ

    har KHwab yaad rakhne ka paida sabab karen

    jo aaj tak na kar sake wo kaam ab karen

    hone laga yahan pe balaon ka phir nuzul

    ab kuchh na kar sakenge chalo zikr-e-rab karen

    jugnu-misal KHud ko jalaenge raat bhar

    ma'mur is tariqe se wo tira-shab karen

    hum ne to us ka sath nibhaya hai der tak

    ab us se dur jaane ka kar-e-ajab karen

    sab jit par manate hain aksar yahan pe jashn

    hum kyon bapa na haar pe jashn-e-tarab karen

    aasuda jism-o-jaan hon kabhi shahr-e-sang mein

    wa is umid par na yahan chashm-o-lab karen

    lahron ke sath aane lagi ret pai-ba-pai

    kab tak daraaz hum yunhi dast-e-talab karen

    dhundla gaya hai izz-o-sharaf ka har ek naqsh

    ab kis umid par yahan fikr-e-nasab karen

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now