Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har koi kyun chup baiTha hai sahab ji kuchh to bolo

Parwez Rahmani

har koi kyun chup baiTha hai sahab ji kuchh to bolo

Parwez Rahmani

MORE BYParwez Rahmani

    har koī kyuuñ chup baiThā hai sāhab kuchh to bolo

    ḳhāmoshī kyā qissa hai sāhab kuchh to bolo

    aaj qalam roza hai kyā kāġhaz taqve se hai

    qāsid kyuuñ fursat likhtā hai sāhab kuchh to bolo

    añgnā.ī ke peḌ pe panchhī zikr meñ kyuuñ masrūf nahīñ

    ye sannāTā kaisā hai sāhab kuchh to bolo

    majbūrī se muḳhtārī tak duurī se nazdīkī tak

    āḳhir ye kaisā parda hai sāhab kuchh to bolo

    kis kis muñh band karoge kis ko kis ko rokoge

    burā milan ke beach meñ kyā hai sāhab kuchh to bolo

    jo darvāza lāchārī ke naam pe mujh par band rahā

    kyā ab bhī vo band paḌā hai sāhab kuchh to bolo

    is duniyā se us duniyā tak rusvā kar dene ke ba.ad

    ab logoñ kyā kahnā hai sāhab kuchh to bolo

    kal tak tum ko jaan se pyārā dil sahārā lagtā thā

    ab 'rahmānī' kyā lagtā hai sāhab kuchh to bolo

    har koi kyun chup baiTha hai sahab ji kuchh to bolo

    KHamoshi ka kya qissa hai sahab ji kuchh to bolo

    aaj qalam ka roza hai kya ya kaghaz taqwe se hai

    qasid kyun fursat likhta hai sahab ji kuchh to bolo

    angnai ke peD pe panchhi zikr mein kyun masruf nahin

    ye sannaTa sa kaisa hai sahab ji kuchh to bolo

    majburi se muKHtari tak duri se nazdiki tak

    aaKHir ye kaisa parda hai sahab ji kuchh to bolo

    kis kis ka munh band karoge kis ko kis ko rokoge

    bura milan ke beach mein kya hai sahab ji kuchh to bolo

    jo darwaza lachaari ke nam pe mujh par band raha

    kya ab bhi wo band paDa hai sahab ji kuchh to bolo

    is duniya se us duniya tak ruswa kar dene ke baad

    ab logon ka kya kahna hai sahab ji kuchh to bolo

    kal tak tum ko jaan se pyara dil ka sahaara lagta tha

    ab 'rahmani' kya lagta hai sahab ji kuchh to bolo

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now