har lafz hai navishta-e-dīvār kī tarah
sach boltā hai vo mire ash.ār kī tarah
maañ hai aziim nuur ke mīnār kī tarah
ġhussa tū kar rahī hai magar pyaar kī tarah
gar sochiye muhājir-o-ansār kī tarah
jazba nahīñ hai jazba-e-īsār kī tarah
duniyā se pesh aa.iye bezār kī tarah
pīchhe phirā karegī talabgār kī tarah
ḳhushbū-e-dostāñ to havā par savār hai
chalnā paḌegā vaqt kī raftār kī tarah
rishte hue mafād parastī meñ mubtalā
ghar ho gayā hai kūcha-e-bāzār kī tarah
kaasa hai is amiir kī qismat meñ ai 'ḳhalish'
jhuktā nahīñ jo shāḳh-e-samar-dār kī tarah
har lafz hai nawishta-e-diwar ki tarah
sach bolta hai wo mere ashaar ki tarah
man hai azim nur ke minar ki tarah
ghussa tu kar rahi hai magar pyar ki tarah
gar sochiye muhajir-o-ansar ki tarah
jazba nahin hai jazba-e-isar ki tarah
duniya se pesh aaiye bezar ki tarah
pichhe phira karegi talabgar ki tarah
KHushbu-e-dostan to hawa par sawar hai
chalna paDega waqt ki raftar ki tarah
rishte hue mafad parasti mein mubtala
ghar ho gaya hai kucha-e-bazar ki tarah
kasa hai is amir ki qismat mein ai 'KHalish'
jhukta nahin jo shaKH-e-samar-dar ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.