Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har lamha zindagi ke pasine se tang hun

Suryabhanu Gupt

har lamha zindagi ke pasine se tang hun

Suryabhanu Gupt

MORE BYSuryabhanu Gupt

    har lamha zindagī ke pasīne se tañg huuñ

    maiñ bhī kisī qamīz ke collar rañg huuñ

    mohara siyāsatoñ mirā naam aadmī

    merā vajūd kyā hai ḳhalāoñ jañg huuñ

    rishte guzar rahe haiñ liye din meñ battiyāñ

    maiñ ādhunik sadī añdherī surañg huuñ

    niklā huuñ ik naddī samundar ko DhūñDhne

    kuchh duur kashtiyoñ ke abhī sañg-sañg huuñ

    māñjhā koī yaqīn ke qābil nahīñ rahā

    tanhā.iyoñ ke peḌ se aTkī patañg huuñ

    ye kis dastaḳhat hai batā.e koī mujhe

    maiñ apnā naam likh ke añgūThe dañg huuñ

    har lamha zindagi ke pasine se tang hun

    main bhi kisi qamiz ke collar ka rang hun

    mohara siyasaton ka mera nam aadmi

    mera wajud kya hai KHalaon ki jang hun

    rishte guzar rahe hain liye din mein battiyan

    main aadhunik sadi ki andheri surang hun

    nikla hun ek naddi sa samundar ko DhunDhne

    kuchh dur kashtiyon ke abhi sang-sang hun

    manjha koi yaqin ke qabil nahin raha

    tanhaiyon ke peD se aTki patang hun

    ye kis ka dastaKHat hai batae koi mujhe

    main apna nam likh ke anguThe sa dang hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now