Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har manzar-e-hasti par kahti hai KHirad kya hai

Shareef Ahmad Shareef

har manzar-e-hasti par kahti hai KHirad kya hai

Shareef Ahmad Shareef

MORE BYShareef Ahmad Shareef

    har manzar-e-hastī par kahtī hai ḳhirad kyā hai

    dekhā hai jo sach hai bhī ḳhvāb-e-tamannā hai

    ābād tirā kūcha ushshāq se hai tere

    allāh rakhe tujh ko hai to tamāsha hai

    kyā haal kiyā ne apnā ġham-e-jānāñ meñ

    vahshat barastī hai kis soch meñ Duubā hai

    āzād parindoñ mānind junūñ merā

    dasht meñ āvāra vus.at-e-sahrā hai

    ye aql se duurī hai ai himmat-e-mardāna

    TuuTī huī talvāreñ ab jin pe bharosa hai

    ik umr yārāna socho to ‘sharīf-ahmad’

    miTTī meñ dabā aanā rasm-o-rah-e-duniyā hai

    har manzar-e-hasti par kahti hai KHirad kya hai

    dekha hai jo sach hai bhi ya KHwab-e-tamanna hai

    aabaad tera kucha ushshaq se hai tere

    allah rakhe tujh ko tu hai to tamasha hai

    kya haal kiya tu ne apna gham-e-jaanan mein

    wahshat si barasti hai kis soch mein Duba hai

    aazad parindon ki manind junun mera

    ya dasht mein aawara ya wusat-e-sahra hai

    ye aql se duri hai ai himmat-e-mardana

    TuTi hui talwaren ab jin pe bharosa hai

    ek umr ka yarana socho to ‘sharif-ahmad’

    miTTi mein daba aana rasm-o-rah-e-duniya hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now