Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har mazhab be-ruh jasad hai jazbe ki qallashi hai

Ijtiba Rizvi

har mazhab be-ruh jasad hai jazbe ki qallashi hai

Ijtiba Rizvi

MORE BYIjtiba Rizvi

    har maz.hab be-rūh jasad hai jazbe qallāshī hai

    raakh ke tuude pūjte haiñ ye ka.aba hai vo kāshī hai

    arsh qīl-o-qāl sunī afsāna-e-vajd-o-hāl sunā

    zehn vo ayyāshī hai aur ruuh ye ayyāshī hai

    dil murda maflūj haiñ rūheñ kaun jale aur kaun jalā.e

    is ThanDe māhaul meñ bejā shauq aḳhgar-pāshī hai

    haal dil-e-āshufta ai dair-o-haram kyā tum se kaheñ

    vahshat har darbār se hai sahrā hāzir-bāshī hai

    sāne-e-qudrat tere qalam kyā kahnā lekin ye batā

    naqsh miTānā naqsh banānā ye kaisī naqqāshī hai

    amn-o-sukūñ ye vaqfa marne ifāqa hai 'rizvī'

    chehre par tahzīb-e-umam ke vaqtī ye bashshāshī hai

    har mazhab be-ruh jasad hai jazbe ki qallashi hai

    rakh ke tude pujte hain ye kaba hai wo kashi hai

    arsh ki qil-o-qal suni afsana-e-wajd-o-haal suna

    zehn ki wo ayyashi hai aur ruh ki ye ayyashi hai

    dil murda mafluj hain ruhen kaun jale aur kaun jalae

    is ThanDe mahaul mein beja shauq ki aKHgar-pashi hai

    haal dil-e-ashufta ka ai dair-o-haram kya tum se kahen

    wahshat har darbar se hai sahra ki hazir-bashi hai

    sane-e-qudrat tere qalam ka kya kahna lekin ye bata

    naqsh miTana naqsh banana ye kaisi naqqashi hai

    amn-o-sukun ka ye waqfa marne ka ifaqa hai 'rizwi'

    chehre par tahzib-e-umam ke waqti ye bashshashi hai

    Source:

    غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 360)

    • Author: فرحت احساس
      • Publisher: ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301
      • Year of Publication: 2018
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now