aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har nafas ek nai zanjir mujhe milti hai

Jamal Owaisi

har nafas ek nai zanjir mujhe milti hai

Jamal Owaisi

MORE BYJamal Owaisi

    har nafas ik na.ī zanjīr mujhe miltī hai

    jiinā paḌtā hai mujhe hiir mujhe miltī hai

    bhāgtā rahtā huuñ parchhā.iyoñ yūrish se

    har jagah apnī tasvīr mujhe miltī hai

    be-navā.ī meñ mire dil ko sukūñ hai kitnā

    chain se jiine jāgīr mujhe miltī hai

    maiñ ne dekhā thā kabhī sāyoñ ke Takrāv ḳhvāb

    aaj us ḳhvāb ta.abīr mujhe miltī hai

    koī lauTātā hai bhejā huā tohfa mujh ko

    pyaar ke badle meñ tahqīr mujhe miltī hai

    har nafas ek nai zanjir mujhe milti hai

    jina paDta hai mujhe hir mujhe milti hai

    bhagta rahta hun parchhaiyon ki yurish se

    har jagah apni hi taswir mujhe milti hai

    be-nawai mein mere dil ko sukun hai kitna

    chain se jine ki jagir mujhe milti hai

    main ne dekha tha kabhi sayon ke Takraw ka KHwab

    aaj us KHwab ki tabir mujhe milti hai

    koi lauTata hai bheja hua tohfa mujh ko

    pyar ke badle mein tahqir mujhe milti hai

    Source:

    Shor ke darmayan (Pg. 75)

    • Author: Jamal Owaisi
      • Edition: 2006
      • Publisher: Educational Publishing House
      • Year of Publication: 20062006
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now