Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har nai ijad ki kal tak hamin buniyaad the

Vijay kumar Swarnkar

har nai ijad ki kal tak hamin buniyaad the

Vijay kumar Swarnkar

MORE BYVijay kumar Swarnkar

    har na.ī ījād kal tak hamīñ buniyād the

    log lohā bhī na the jis vaqt ham faulād the

    aaj tai kījiye kal kyā kaheñge qaum ko

    ham abhī āzād haiñ ham kabhī āzād the

    jhar chuke patte havā se kah rahe haiñ ġham nahīñ

    vo jaḌeñ zinda haiñ ab bhī jin se ham ābād the

    kaun suntā ajnabī ajnabī bhāshā meñ baat

    shor ke darbār meñ ham maun ke samvād the

    har nai ijad ki kal tak hamin buniyaad the

    log loha bhi na the jis waqt hum faulad the

    aaj hi tai kijiye kal kya kahenge qaum ko

    hum abhi aazad hain ya hum kabhi aazad the

    jhar chuke patte hawa se kah rahe hain gham nahin

    wo jaDen zinda hain ab bhi jin se hum aabaad the

    kaun sunta ajnabi ki ajnabi bhasha mein baat

    shor ke darbar mein hum maun ke samwad the

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now