Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har naqsh-e-pa ko manzil-e-jaan manna paDa

Kishwar Naheed

har naqsh-e-pa ko manzil-e-jaan manna paDa

Kishwar Naheed

MORE BYKishwar Naheed

    har naqsh-e-pā ko manzil-e-jāñ mānñā paḌā

    muddat ke ba.ad jab bhī tirā sāmnā paḌā

    aksar naqāb-e-zabt hameñ thāmnā paḌā

    jab bhī fasīl-e-shab ko hameñ phāñdnā paḌā

    har baar bhūlne ko ġhamoñ aziyyateñ

    har rishta-e-umīd nayā bāñdhnā paḌā

    har aarzū se ham ko milī taaza zindagī

    har aarzū ham ko lahū chāTnā paḌā

    thī harām ḳhud-kushī mere ḳhudā ne kyuuñ

    be-vaj.h zindagī safar kāTnā paḌā

    har naqsh-e-pa ko manzil-e-jaan manna paDa

    muddat ke baad jab bhi tera samna paDa

    aksar naqab-e-zabt hamein thamna paDa

    jab bhi fasil-e-shab ko hamein phandna paDa

    har bar bhulne ko ghamon ki aziyyaten

    har rishta-e-umid naya bandhna paDa

    har aarzu se hum ko mili taza zindagi

    har aarzu ka hum ko lahu chaTna paDa

    ki thi haram KHud-kushi mere KHuda ne kyun

    be-wajh zindagi ka safar kaTna paDa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now