Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har paikar-e-ranai ne mujhe teri hi yaad dilai hai

Yusuf Jamal

har paikar-e-ranai ne mujhe teri hi yaad dilai hai

Yusuf Jamal

MORE BYYusuf Jamal

    har paikar-e-rānā.ī ne mujhe terī yaad dilā.ī hai

    kuchh ishq mirā harjā.ī hai kuchh husn tirā harjā.ī hai

    haañ soch samajh kar jān-e-vafā maiñ vo patthar huuñ kināre

    jo mauj bhañvar se niklī hai uTh kar mujh se Takrā.ī hai

    Thahrāv hai vaz-e-sāhil meñ tūfāñ to nahīñ barpā dil meñ

    kajlā to chalā hai angāra aise meñ havā purvā.ī hai

    chāhat meñ kisī jiitā huuñ sūrat pe kisī martā huuñ

    ye jiinā mujh ko bhāyā hai ye maut mujhe raas aa.ī hai

    kuchh terā bhī armān rahe aur kuchh apnā bhī dhyān rahe

    itnī to mujhe pahchān rahe ye vasl hai tanhā.ī hai

    ye lambī raat ye be-ḳhvābī ye karvaT karvaT betābī

    mausam ke basantī chhīñToñ ne kyā aag jigar meñ lagā.ī hai

    ai ahl-e-ḳhirad ham dīvāne jab sū-e-chaman nikle haiñ

    kāñToñ ko sar par rakkhā hai phūloñ se aañkh churā.ī hai

    har paikar-e-ranai ne mujhe teri hi yaad dilai hai

    kuchh ishq mera harjai hai kuchh husn tera harjai hai

    han soch samajh kar jaan-e-wafa main wo patthar hun kinare ka

    jo mauj bhanwar se nikli hai uTh kar mujh se Takrai hai

    Thahraw hai waz-e-sahil mein tufan to nahin barpa dil mein

    kajla to chala hai angara aise mein hawa purwai hai

    chahat mein kisi ki jita hun surat pe kisi ki marta hun

    ye jina mujh ko bhaya hai ye maut mujhe ras aai hai

    kuchh tera bhi arman rahe aur kuchh apna bhi dhyan rahe

    itni to mujhe pahchan rahe ye wasl hai ya tanhai hai

    ye lambi raat ye be-KHwabi ye karwaT karwaT betabi

    mausam ke basanti chhinTon ne kya aag jigar mein lagai hai

    ai ahl-e-KHirad hum diwane jab su-e-chaman ja nikle hain

    kanTon ko sar par rakkha hai phulon se aankh churai hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now