Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har phul kisi rang ka KHushbu ka safar hai

Saleem-ur-Rahman

har phul kisi rang ka KHushbu ka safar hai

Saleem-ur-Rahman

MORE BYSaleem-ur-Rahman

    har phuul kisī rang ḳhushbū safar hai

    aur bāġh-e-jahāñ vaqt ik rāhguzar hai

    vaadī se guzartā hai mire ḳhvāb dariyā

    khultā lab-e-āb tire lutf dar hai

    muddat se mire dil pe hai be-rang mausam

    hai dhuup ThiThurtī huī be-sāya shajar hai

    soyā huā har dard meñ ummīd pal hai

    har raat dīvār pe ik naqsh-e-sahar hai

    ik baar yahāñ boyā gayā zahr zamīñ meñ

    bad-zā.iqa ab har na.e mausam samar hai

    jis shahr ko kahte the kabhī shahr-e-tamannā

    girtī huī dīvār se TuuTā huā dar hai

    har phul kisi rang ka KHushbu ka safar hai

    aur bagh-e-jahan waqt ki ek rahguzar hai

    wadi se guzarta hai mere KHwab ka dariya

    khulta sa lab-e-ab tere lutf ka dar hai

    muddat se mere dil pe hai be-rang sa mausam

    hai dhup ThiThurti hui be-saya shajar hai

    soya hua har dard mein ummid ka pal hai

    har raat ki diwar pe ek naqsh-e-sahar hai

    ek bar yahan boya gaya zahr zamin mein

    bad-zaiqa ab har nae mausam ka samar hai

    jis shahr ko kahte the kabhi shahr-e-tamanna

    girti hui diwar se TuTa hua dar hai

    Source:

    Manzar Jagta Sota Hua (Pg. 100)

    • Author: Saleem-ur-Rahman
      • Publisher: Multi Media Affairs, Lahore
      • Year of Publication: 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now