har qadam ek hadisa hai mujhe
har qadam ek hādisa hai mujhe
sirf terā hī aasrā hai mujhe
mere qadmoñ ke nīche jannat hai
apnī auqāt kā pata hai mujhe
vajd meñ kā.enāt hai saarī
kaun āvāz de rahā hai mujhe
is se pahle ki ho ḳhatā koī
koī andar se roktā hai mujhe
dhaḌkaneñ ho ga.ī haiñ be-qābū
kis kā ehsās chhū gayā hai mujhe
zindagī terā shukriya tū ne
jiine kā hausla diyā hai mujhe
har qadam ek hadisa hai mujhe
sirf tera hi aasra hai mujhe
mere qadmon ke niche jannat hai
apni auqat ka pata hai mujhe
wajd mein kaenat hai sari
kaun aawaz de raha hai mujhe
is se pahle ki ho KHata koi
koi andar se rokta hai mujhe
dhaDkanen ho gai hain be-qabu
kis ka ehsas chhu gaya hai mujhe
zindagi tera shukriya tu ne
jine ka hausla diya hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.