Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har rahat-e-jaan lamhe se uftad ki zid hai

Ikram Azam

har rahat-e-jaan lamhe se uftad ki zid hai

Ikram Azam

MORE BYIkram Azam

    har rāhat-e-jāñ lamhe se uftād zid hai

    bedād zamāna bhī kisī daad zid hai

    har ḳhair kisī shar se baqā-yāb huī hai

    ye hsun-e-ta.adul bhī to azdād zid hai

    ab āñkheñ bhalā kis tarah taqsīm kare maañ

    dīvāreñ khaḌī karnā to aulād zid hai

    girya nahīñ ma.aqūl ba-yād-e-kas-e-rafta

    lekin ye tamāshā dil-e-nāshād zid hai

    maiñ rāsta bhūlā huā pyāda huuñ mujhe kyā

    rahbar ko agar jāda-e-barbād zid hai

    maiñ ḳhud se nibhāne ravādār nahīñ thā

    ye pahlī mohabbat mire ham-zād zid hai

    haiñ fikr ke āsār ḳhudāoñ jabīñ par

    ik abd-e-ziyāñ-kār ko ilhād zid hai

    har rahat-e-jaan lamhe se uftad ki zid hai

    bedad zamana bhi kisi dad ki zid hai

    har KHair kisi shar se baqa-yab hui hai

    ye hsun-e-tadul bhi to azdad ki zid hai

    ab aankhen bhala kis tarah taqsim kare man

    diwaren khaDi karna to aulad ki zid hai

    girya nahin maqul ba-yaad-e-kas-e-rafta

    lekin ye tamasha dil-e-nashad ki zid hai

    main rasta bhula hua pyaada hun mujhe kya

    rahbar ko agar jada-e-barbaad ki zid hai

    main KHud se nibhane ka rawadar nahin tha

    ye pahli mohabbat mere ham-zad ki zid hai

    hain fikr ke aasar KHudaon ki jabin par

    ek abd-e-ziyan-kar ko ilhad ki zid hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now