Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har raushni ki bund pe lab rakh chuki hai raat

Wahab Danish

har raushni ki bund pe lab rakh chuki hai raat

Wahab Danish

MORE BYWahab Danish

    har raushnī buuñd pe lab rakh chukī hai raat

    baḌhne lage zamīñ taraf tīrgī ke haat

    jañgal khaḌe haiñ bhed ke aur ajnabī shajar

    shāḳheñ nahīñ salīb ki dushvār hai najāt

    ho ke kabhī udaas yahāñ baiThtā to thā

    chal ke kisī daraḳht se pūchheñ to us baat

    hāthoñ meñ gar nahīñ to nigāhoñ ko dījiye

    us sāhib-e-nisāb-e-badan se koī zakāt

    in parbatoñ ke biich thī mastūr ik guphā

    patthar narmiyoñ meñ thī mahfūz kā.enāt

    har raushni ki bund pe lab rakh chuki hai raat

    baDhne lage zamin ki taraf tirgi ke hat

    jangal khaDe hain bhed ke aur ajnabi shajar

    shaKHen nahin salib ki dushwar hai najat

    ho ke kabhi udas yahan baiThta to tha

    chal ke kisi daraKHt se puchhen to us ki baat

    hathon mein gar nahin to nigahon ko dijiye

    us sahib-e-nisab-e-badan se koi zakat

    in parbaton ke bich thi mastur ek gupha

    patthar ki narmiyon mein thi mahfuz kaenat

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now