Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har roz naya ek sitam ijad karo ho

Nazir Fatehpuri

har roz naya ek sitam ijad karo ho

Nazir Fatehpuri

MORE BYNazir Fatehpuri

    har roz nayā ik sitam ījād karo ho

    ābād raho ho hameñ barbād karo ho

    jis shahr meñ har shaḳhs hai patthar tarāshā

    us shahr meñ kis vāste fariyād karo ho

    kyoñ ḳhuun bahāo ho miyāñ husn-e-chaman

    kyoñ sabza-e-shādāb ko barbād karo ho

    barsā nahīñ āñkhoñ se abhī karb sāvan

    kyoñ ḳhatm abhī dard rūdād karo ho

    vo ḳhud 'nazīr' aa.egā ik roz yahāñ tak

    tum kis liye qātil pata yaad karo ho

    har roz naya ek sitam ijad karo ho

    aabaad raho ho hamein barbaad karo ho

    jis shahr mein har shaKHs hai patthar ka tarasha

    us shahr mein kis waste fariyaad karo ho

    kyon KHun bahao ho miyan husn-e-chaman ka

    kyon sabza-e-shadab ko barbaad karo ho

    barsa nahin aankhon se abhi karb ka sawan

    kyon KHatm abhi dard ki rudad karo ho

    wo KHud hi 'nazir' aaega ek roz yahan tak

    tum kis liye qatil ka pata yaad karo ho

    Source:

    Lamhon Ka Safar (Pg. 72)

    • Author: Nazir Fatehpuri
      • Publisher: Asbaq Publications, Pune
      • Year of Publication: 1984
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now