aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har roz pahle roz se behtar mila hai KHauf

Mohammad Shahid Firoz

har roz pahle roz se behtar mila hai KHauf

Mohammad Shahid Firoz

MORE BYMohammad Shahid Firoz

    har roz pahle roz se behtar milā hai ḳhauf

    aisā nahīñ ki ek jaisā rahā hai ḳhauf

    jis ne tumhārī niiñd duniyā ujaaḌ

    mujh ko bhī ek aisī āvāz hai ḳhauf

    mere mizāj hai mirā aks ḳhadd-o-ḳhāl

    sab se alag-thalag huuñ maiñ sab se judā hai ḳhauf

    ye kā.enāt donoñ marzī se hai banī

    terī atā hai zindagī merī atā hai ḳhauf

    apnā bhī haath chhūne se Dar jaa.e aadmī

    merī samajh meñ aa chukā kitnā burā hai ḳhauf

    terī atā se baḌh ke to mumkin nahīñ hai dost

    itnā khā rahā huuñ maiñ jitnā diyā hai ḳhauf

    mere liye hai habs mausam balā-e-jāñ

    jaise diye ke vāste biphrī havā hai ḳhauf

    ye soch mere vāste hai mas.ala banī

    tujh meñ ḳhudā ḳhauf hai phir ḳhudā hai ḳhauf

    ik roz shahr-e-yār pe ban jā.egā azaab

    achchhā hai ahl-e-shahr meñ jo pal rahā hai ḳhauf

    'shāhid' adam honā aur na honā jaan le

    ya.anī vajūd raushnī hai aur ḳhalā hai ḳhauf

    har roz pahle roz se behtar mila hai KHauf

    aisa nahin ki ek hi jaisa raha hai KHauf

    jis ne tumhaari nind ki duniya ujaD di

    mujh ko bhi ek aisi hi aawaz ka hai KHauf

    mere mizaj ka hai mera aks KHadd-o-KHal

    sab se alag-thalag hun main sab se juda hai KHauf

    ye kaenat donon ki marzi se hai bani

    teri ata hai zindagi meri ata hai KHauf

    apna bhi hath chhune se Dar jae aadmi

    meri samajh mein aa chuka kitna bura hai KHauf

    teri ata se baDh ke to mumkin nahin hai dost

    itna hi kha raha hun main jitna diya hai KHauf

    mere liye hai habs ka mausam bala-e-jaan

    jaise diye ke waste biphri hawa hai KHauf

    ye soch mere waste hai masala bani

    tujh mein KHuda ka KHauf hai ya phir KHuda hai KHauf

    ek roz shahr-e-yar pe ban jaega azab

    achchha hai ahl-e-shahr mein jo pal raha hai KHauf

    'shahid' adam ka hona aur na hona jaan le

    yani wajud raushni hai aur KHala hai KHauf

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now