Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har roz rah takti hain mere singhaar ki

Shabnam Shakeel

har roz rah takti hain mere singhaar ki

Shabnam Shakeel

MORE BYShabnam Shakeel

    har roz raah taktī haiñ mere siñghār

    ghar meñ khilī huī haiñ jo kaliyāñ anaar

    kal un ke bhī ḳhayāl ko maiñ ne jhaTak diyā

    had ho ga.ī hai mere bhī sabr-o-qarār

    maazī pe guftugū se vo ghabrā rahe the aaj

    maiñ ne bhī aaj baat vahī baar baar

    ab pyaar adā pe bhī jhunjhlā rahe haiñ vo

    kahte haiñ mujh ko fikr hai kuchh kārobār

    aksar to log pahlī sadā par bik ga.e

    bolī to go lagī thī baḌe e'tibār

    zinda rahī to naam bhī lūñgī na pyaar

    saugand hai mujhe mire parvardigār

    sab ḳhayāl ghar sajāT mahfileñ

    maiñ ne bhī ab ye aam ravish iḳhtiyār

    har roz rah takti hain mere singhaar ki

    ghar mein khili hui hain jo kaliyan anar ki

    kal un ke bhi KHayal ko main ne jhaTak diya

    had ho gai hai mere bhi sabr-o-qarar ki

    mazi pe guftugu se wo ghabra rahe the aaj

    main ne bhi aaj baat wahi bar bar ki

    ab pyar ki ada pe bhi jhunjhla rahe hain wo

    kahte hain mujh ko fikr hai kuchh karobar ki

    aksar to log pahli sada par hi bik gae

    boli to go lagi thi baDe e'tibar ki

    zinda rahi to nam bhi lungi na pyar ka

    saugand hai mujhe mere parwardigar ki

    sab ka KHayal ghar ki sajaT ki mahfilen

    main ne bhi ab ye aam rawish iKHtiyar ki

    Source:

    Range-e-Gazal (Pg. 248)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now