Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har saat-e-bahaar-o-masarrat guzar gai

Kaleem Saronji

har saat-e-bahaar-o-masarrat guzar gai

Kaleem Saronji

MORE BYKaleem Saronji

    har sā.at-e-bahār-o-masarrat guzar ga.ī

    dil kyā gayā ki lazzat-e-dard-e-jigar ga.ī

    dil bujh gayā vafā pe qayāmat guzar ga.ī

    achchhā huā ki gardish-e-shām-o-sahar ga.ī

    dil ko ḳhayāl-e-gardish-e-daurāñ nahīñ rahā

    un nigāh-e-nāz pe ehsān kar ga.ī

    maanā ki e.atibār-e-zamāna nahīñ rahā

    ummīd-e-rā.egāñ na dil-e-mo'tabar ga.ī

    shām-e-firāq vo nahīñ aa.e nahīñ sahī

    duniyā-e-ārzū to mirī kuchh sañvar ga.ī

    jalva-faroz tuur pe dekhā to thā 'kalīm'

    pūchho na vaqt-e-dīd jo dil par guzar ga.ī

    har saat-e-bahaar-o-masarrat guzar gai

    dil kya gaya ki lazzat-e-dard-e-jigar gai

    dil bujh gaya wafa pe qayamat guzar gai

    achchha hua ki gardish-e-sham-o-sahar gai

    dil ko KHayal-e-gardish-e-dauran nahin raha

    un ki nigah-e-naz pe ehsan kar gai

    mana ki eatibar-e-zamana nahin raha

    ummid-e-raegan na dil-e-mo'tabar gai

    sham-e-firaq wo nahin aae nahin sahi

    duniya-e-arzu to meri kuchh sanwar gai

    jalwa-faroz tur pe dekha to tha 'kalim'

    puchho na waqt-e-did jo dil par guzar gai

    Source:

    Waraq Waraq (Pg. 39)

    • Author: Kaleem Saronji
      • Publisher: Madhya Pradesh Urdu Academy, Bhopal
      • Year of Publication: 1984
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now