Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har sahib-e-jamal ke dil ka makin hai

Shadab Javed

har sahib-e-jamal ke dil ka makin hai

Shadab Javed

MORE BYShadab Javed

    har sāhib-e-jamāl ke dil makīn hai

    mahfil meñ ek shaḳhs jo gosha-nashīn hai

    suuī bhī DhūñD laa.ī hai dhāgā bhī fārehā

    aur jaun hai ki apnī duniyā meñ liin hai

    duniyā hamāre biich muallaq hai is tarah

    jis tarah ain-o-qāf ke mābain shiin hai

    farhād kār-ḳhāne meñ teshe galātā hai

    aur qais apne shahr meñ sab se zahīn hai

    jis ke liye banā hai usī kaam nahīñ

    insān apne vaqt bigḌī machine hai

    maiñ aazmā to luuñ mire kuchh dostoñ ko par

    kuchh dostoñ ghar mirī āstīn hai

    jo terā ho gayā vo kisī nahīñ huā

    ai maut bil-yaqīn behad hasīn hai

    ik aarzū jism abhī bhī havā meñ hai

    aur ek aarzū hai jo zer-e-zamīn hai

    jo tujh ko chāhte haiñ unheñ chāhtā huuñ maiñ

    mujh ko yahī sikhāyā gayā hai ye diin hai

    tum kyā kisī bahār meñ 'shādāb' ho sake

    tum jhuuT bolte the ki mausam hasīn hai

    har sahib-e-jamal ke dil ka makin hai

    mahfil mein ek shaKHs jo gosha-nashin hai

    sui bhi DhunD lai hai dhaga bhi fareha

    aur jaun hai ki apni hi duniya mein lin hai

    duniya hamare bich muallaq hai is tarah

    jis tarah ain-o-qaf ke mabain shin hai

    farhad kar-KHane mein teshe galata hai

    aur qais apne shahr mein sab se zahin hai

    jis ke liye bana hai usi kaam ka nahin

    insan apne waqt ki bigDi machine hai

    main aazma to lun mere kuchh doston ko par

    kuchh doston ka ghar hi meri aastin hai

    jo tera ho gaya wo kisi ka nahin hua

    ai maut bil-yaqin tu behad hasin hai

    ek aarzu ka jism abhi bhi hawa mein hai

    aur ek aarzu hai jo zer-e-zamin hai

    jo tujh ko chahte hain unhen chahta hun main

    mujh ko yahi sikhaya gaya hai ye din hai

    tum kya kisi bahaar mein 'shadab' ho sake

    tum jhuT bolte the ki mausam hasin hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now