Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har sans jaise zahr ka ek jam ho gai

Husna Sarwar

har sans jaise zahr ka ek jam ho gai

Husna Sarwar

MORE BYHusna Sarwar

    har saañs jaise zahr ik jaam ho ga.ī

    ab zindagī bhī morid-e-ilzām ho ga.ī

    gum-sum hai chāñd aur sitāre bhī haiñ ḳhamosh

    kyā tere dard-e-dil ḳhabar aam ho ga.ī

    gul par hai iḳhtiyār na ḳhushbū e'tibār

    gulshan bhī kyā bahār bhī nīlām ho ga.ī

    rāh-e-vafā meñ shauq ke jugnū chamak uThe

    manzil se duur jab bhī kahīñ shaam ho ga.ī

    pahchāntā nahīñ hai koī tere shahr meñ

    kyā aabrū vafāoñ badnām ho ga.ī

    dil zamīñ pe zaḳhmoñ fasleñ ugā.iye

    barsāt āñsuoñ sar-e-shām ho ga.ī

    har sans jaise zahr ka ek jam ho gai

    ab zindagi bhi morid-e-ilzam ho gai

    gum-sum hai chand aur sitare bhi hain KHamosh

    kya tere dard-e-dil ki KHabar aam ho gai

    gul par hai iKHtiyar na KHushbu ka e'tibar

    gulshan bhi kya bahaar bhi nilam ho gai

    rah-e-wafa mein shauq ke jugnu chamak uThe

    manzil se dur jab bhi kahin sham ho gai

    pahchanta nahin hai koi tere shahr mein

    kya aabru wafaon ki badnam ho gai

    dil ki zamin pe zaKHmon ki faslen ugaiye

    barsat aansuon ki sar-e-sham ho gai

    Source:

    Suroor-e-Ghazal (Pg. 24)

      • Publisher: Urdu Ghar, Dharwad
      • Year of Publication: 2006
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now