Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har sans mein KHud apne na hone ka guman tha

Anwar Sabri

har sans mein KHud apne na hone ka guman tha

Anwar Sabri

MORE BYAnwar Sabri

    har saañs meñ ḳhud apne na hone gumāñ thā

    vo sāmne aa.e to mujhe hosh kahāñ thā

    kartī haiñ ulaT-pher yūñhī un nigāheñ

    kaaba hai vahīñ aaj sanam-ḳhāna jahāñ thā

    taqsīr-e-nazar dekhne vāloñ hai varna

    un koī jalva na ayaañ thā na nihāñ thā

    badlī jo zarā chashm-e-mashīyat koī dam ko

    har samt bapā mahshar-e-fariyād-o-fuġhāñ thā

    lapkā hai bagūla abhī un taraf ko

    shāyad kisī majbūr aahoñ dhuāñ thā

    'anvar' mire kaam aa.ī qayāmat meñ nidāmat

    rahmat taqāzā mirā har ashk-e-ravāñ thā

    har sans mein KHud apne na hone ka guman tha

    wo samne aae to mujhe hosh kahan tha

    karti hain ulaT-pher yunhi un ki nigahen

    kaba hai wahin aaj sanam-KHana jahan tha

    taqsir-e-nazar dekhne walon ki hai warna

    un ka koi jalwa na ayan tha na nihan tha

    badli jo zara chashm-e-mashiyat koi dam ko

    har samt bapa mahshar-e-fariyaad-o-fughan tha

    lapka hai bagula sa abhi un ki taraf ko

    shayad kisi majbur ki aahon ka dhuan tha

    'anwar' mere kaam aai qayamat mein nidamat

    rahmat ka taqaza mera har ashk-e-rawan tha

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    har sans mein KHud apne na hone ka guman tha Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now