Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har samt bikharti hui KHushbu ki tarah hain

Shahbaz Nayyar

har samt bikharti hui KHushbu ki tarah hain

Shahbaz Nayyar

MORE BYShahbaz Nayyar

    har samt bikhartī huī ḳhushbū tarah haiñ

    kuchh log mire shahr meñ urdu tarah haiñ

    kuchh log mohabbat ke payambar haiñ zamīñ par

    kuchh log siyah raat meñ jugnū tarah haiñ

    gir sakte haiñ dāman pe kisī vaqt bhī ab ham

    ruḳhsār pe Thahre hue aañsū tarah haiñ

    sirhāne pe rakhe hue kuchh ḳhvāb hamāre

    phūloñ se bhare aap ke baazū tarah haiñ

    ham 'mīr' ke dīvān ik sher haiñ 'nayyar'

    ham zaḳhm-rasīda kisī aahū tarah haiñ

    har samt bikharti hui KHushbu ki tarah hain

    kuchh log mere shahr mein urdu ki tarah hain

    kuchh log mohabbat ke payambar hain zamin par

    kuchh log siyah raat mein jugnu ki tarah hain

    gir sakte hain daman pe kisi waqt bhi ab hum

    ruKHsar pe Thahre hue aansu ki tarah hain

    sirhane pe rakhe hue kuchh KHwab hamare

    phulon se bhare aap ke bazu ki tarah hain

    hum 'mir' ke diwan ka ek sher hain 'nayyar'

    hum zaKHm-rasida kisi aahu ki tarah hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now