Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har samt uDi gard mere shahr-e-guman mein

Jafar Sahni

har samt uDi gard mere shahr-e-guman mein

Jafar Sahni

MORE BYJafar Sahni

    Interesting Fact

    Tahreek-e-Adab (Volume: 2, 2008)

    har samt uḌī gard mire shahr-e-gumāñ meñ

    mahsūr tamannā hai zamāne ke dhuāñ meñ

    sannāTe jo qissa sunāne meñ magan hai

    raqsāñ thā kabhī shor usī ujḌe makāñ meñ

    ḳhushiyoñ ko badan par jo lapeTe hue kal thā

    hai aaj sharābor vahī dard nihāñ meñ

    ma.adūm huā gul nishāñ sahn-e-chaman se

    ḳhushbū hai magar ab bhī basī bād-e-ravāñ meñ

    har ḳhvāb ta.abīr nazar aa.ī hirāsāñ

    nāpaid huā josh-e-junūñ mard-e-javāñ meñ

    fardā galī meñ vo baḌā kaam karegī

    ik zid hai khilaune jo ma.asūm fuġhāñ meñ

    guzrī huī saa.at ko palaTne meñ lagā hai

    kuchh baat nazar aa.ī use kār-e-ziyāñ meñ

    pur-kaif huī 'sāhnī' har saañs aahaT

    mauhūm ishāra jo milā vaqt-e-girāñ meñ

    har samt uDi gard mere shahr-e-guman mein

    mahsur tamanna hai zamane ke dhuan mein

    sannaTe ka jo qissa sunane mein magan hai

    raqsan tha kabhi shor usi ujDe makan mein

    KHushiyon ko badan par jo lapeTe hue kal tha

    hai aaj sharabor wahi dard nihan mein

    madum hua gul ka nishan sahn-e-chaman se

    KHushbu hai magar ab bhi basi baad-e-rawan mein

    har KHwab ki tabir nazar aai hirasan

    napaid hua josh-e-junun mard-e-jawan mein

    farda ki gali mein wo baDa kaam karegi

    ek zid hai khilaune ki jo masum fughan mein

    guzri hui saat ko palaTne mein laga hai

    kuchh baat nazar aai use kar-e-ziyan mein

    pur-kaif hui 'sahni' har sans ki aahaT

    mauhum ishaara jo mila waqt-e-giran mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now