har shaKHs meri baat se anjaan bahut hai
har shaḳhs mirī baat se anjān bahut hai
is baar miTāne ko ye tūfān bahut hai
ham jaise parindoñ ko mayassar na huā ghar
ham jaise parindoñ ko ye zindān bahut hai
chauñtīs kī ye 'umr bahattar kī lage hai
kitne maiñ kahūñ 'ishq ke nuqsān bahut hai
har baar mujhe maut se laatā hai bachā kar
shīshe meñ khaḌe shaḳhs kā ehsān bahut hai
har shaKHs meri baat se anjaan bahut hai
is bar miTane ko ye tufan bahut hai
hum jaise parindon ko mayassar na hua ghar
hum jaise parindon ko ye zindan bahut hai
chauntis ki ye 'umr bahattar ki lage hai
kitne main kahun 'ishq ke nuqsan bahut hai
har bar mujhe maut se lata hai bacha kar
shishe mein khaDe shaKHs ka ehsan bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.