Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har shakl rafta rafta anjaan ho gai hai

Manmohan Talkh

har shakl rafta rafta anjaan ho gai hai

Manmohan Talkh

MORE BYManmohan Talkh

    har shakl rafta rafta anjān ho ga.ī hai

    mushkil thī jo bhī jis āsān ho ga.ī hai

    kahnā na kuchh kisī se chup chup se takte rahnā

    āḳhir yahī hamārī pahchān ho ga.ī hai

    ik shaḳhs bholā-bhālā bastī pūchhtā hai

    kaise kahūñ ki bastī vīrān ho ga.ī hai

    jo thā rahā na kuchh bhī jo hai na jaane kyā hai

    so ab yahāñ se ruḳhsat āsān ho ga.ī hai

    pahle the ham hairāñ ham nahīñ hai koī

    aur ab to saarī duniyā hairān ho ga.ī hai

    aisī chahal-pahal thī mushkil se lauTte the

    yādoñ vo galī ab sunsān ho ga.ī hai

    bas 'talḳh' ravish thī ab tak baġhair unvāñ

    ab is ravish duurī unvān ho ga.ī hai

    har shakl rafta rafta anjaan ho gai hai

    mushkil thi jo bhi jis ki aasan ho gai hai

    kahna na kuchh kisi se chup chup se takte rahna

    aaKHir yahi hamari pahchan ho gai hai

    ek shaKHs bhola-bhaala basti ki puchhta hai

    kaise kahun ki basti viran ho gai hai

    jo tha raha na kuchh bhi jo hai na jaane kya hai

    so ab yahan se ruKHsat aasan ho gai hai

    pahle the hum hi hairan hum sa nahin hai koi

    aur ab to sari duniya hairan ho gai hai

    aisi chahal-pahal thi mushkil se lauTte the

    yaadon ki wo gali ab sunsan ho gai hai

    bas 'talKH' ki rawish thi ab tak baghair unwan

    ab is rawish ka duri unwan ho gai hai

    Source:

    Waseela (Pg. 60)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now