Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har subh main patthar ki tarah saKHt bana hun

Aliuddeen Naved

har subh main patthar ki tarah saKHt bana hun

Aliuddeen Naved

MORE BYAliuddeen Naved

    har sub.h maiñ patthar tarah saḳht banā huuñ

    shaam aate shīshe tarah TuuT gayā huuñ

    girtī huī dīvār ke saa.e meñ Thahar kar

    chaḌhte hue sūraj taraf dekh rahā huuñ

    ik baar kisī ne mujhe dīvāna kahā thā

    ab tak usī lahje adā DhūñD rahā huuñ

    tum sub.h ke dīvān meñ shādāb khaḌī ho

    maiñ raat daldal meñ utartā chalā huuñ

    maiñ ab bhī tirī reshmī palkoñ zamīñ par

    sayyāl nagīnoñ chamak ban ke khaḌā huuñ

    har subh main patthar ki tarah saKHt bana hun

    sham aate hi shishe ki tarah TuT gaya hun

    girti hui diwar ke sae mein Thahar kar

    chaDhte hue suraj ki taraf dekh raha hun

    ek bar kisi ne mujhe diwana kaha tha

    ab tak usi lahje ki ada DhunD raha hun

    tum subh ke diwan mein shadab khaDi ho

    main raat ki daldal mein utarta hi chala hun

    main ab bhi teri reshmi palkon ki zamin par

    sayyal naginon ki chamak ban ke khaDa hun

    Source:

    Sadaf Tamam Reet Reet (Pg. 23)

    • Author: Aliuddeen Naved
      • Publisher: Hyderabad Literary Form
      • Year of Publication: 1979
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now