aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har su hai tariki chhai tum bhi chup aur hum bhi chup

Aslam Aazad

har su hai tariki chhai tum bhi chup aur hum bhi chup

Aslam Aazad

MORE BYAslam Aazad

    har hai tārīkī chhā.ī tum bhī chup aur ham bhī chup

    kis ne aisī sham.a jalā.ī tum bhī chup aur ham bhī chup

    kis jānib hai apnī manzil dorāhe par aa pahuñche

    kis ne aisī raah batā.ī tum bhī chup aur ham bhī chup

    dasht-e-tapāñ meñ jaane kab se dil ne haiñ āvāzeñ

    koī bhī āvāz na aa.ī tum bhī chup aur ham bhī chup

    raah kisī takte takte taare bhī ab raakh hue

    sub.h devī bhī muskā.ī tum bhī chup aur ham bhī chup

    dard ke be-pāyāñ sahrā meñ duur talak hai sannāTā

    zaḳhm-e-dil ne añgḌā.ī tum bhī chup aur ham bhī chup

    har su hai tariki chhai tum bhi chup aur hum bhi chup

    kis ne aisi shama jalai tum bhi chup aur hum bhi chup

    kis jaanib hai apni manzil dorahe par aa pahunche

    kis ne aisi rah batai tum bhi chup aur hum bhi chup

    dasht-e-tapan mein jaane kab se dil ne di hain aawazen

    koi bhi aawaz na aai tum bhi chup aur hum bhi chup

    rah kisi ki takte takte tare bhi ab rakh hue

    subh ki dewi bhi muskai tum bhi chup aur hum bhi chup

    dard ke be-payan sahra mein dur talak hai sannaTa

    zaKHm-e-dil ne li angDai tum bhi chup aur hum bhi chup

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 338)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now