har-su jahan mein sham o sahar DhunDte hain hum
har-sū jahāñ meñ shaam o sahar DhūñDte haiñ ham
jo dil meñ ghar kare vo nazar DhūñDte haiñ ham
in bastiyoñ ko phūñk ke ḳhud apne haath se
apne nagar meñ apnā vo ghar DhūñDte haiñ ham
juz reg-zār kuchh bhī nahīñ tā-had-e-nigāh
sahrā meñ sāya-dār shajar DhūñDte haiñ ham
taslīm hai ki juḌtā nahīñ hai shikasta dil
phir bhī dukān-e-ā.īna-gar DhūñDte haiñ ham
jis kī adā adā pe ho insāniyat ko naaz
mil jaa.e kaash aisā bashar DhūñDte haiñ ham
kuchh imtiyāz-e-maz.hab-o-millat nahīñ hameñ
ik mo'tabar rafīq-e-safar DhūñDte haiñ ham
is daur meñ jo fan ko hamāre parakh sake
vo sāhab-e-zabān-o-nazar DhūñDte haiñ ham
haath aa.egā na kuchh bhī ba-juz sañg-e-be-bisāt
uthle samundaroñ meñ guhar DhūñDte haiñ ham
'ājiz' talāsh-e-sham.a meñ parvāne mahv haiñ
hairat unheñ hai un ko agar DhūñDte haiñ ham
har-su jahan mein sham o sahar DhunDte hain hum
jo dil mein ghar kare wo nazar DhunDte hain hum
in bastiyon ko phunk ke KHud apne hath se
apne nagar mein apna wo ghar DhunDte hain hum
juz reg-zar kuchh bhi nahin ta-had-e-nigah
sahra mein saya-dar shajar DhunDte hain hum
taslim hai ki juDta nahin hai shikasta dil
phir bhi dukan-e-aina-gar DhunDte hain hum
jis ki ada ada pe ho insaniyat ko naz
mil jae kash aisa bashar DhunDte hain hum
kuchh imtiyaz-e-mazhab-o-millat nahin hamein
ek mo'tabar rafiq-e-safar DhunDte hain hum
is daur mein jo fan ko hamare parakh sake
wo sahab-e-zaban-o-nazar DhunDte hain hum
hath aaega na kuchh bhi ba-juz sang-e-be-bisat
uthle samundaron mein guhar DhunDte hain hum
'ajiz' talash-e-shama mein parwane mahw hain
hairat unhen hai un ko agar DhunDte hain hum
- Book : mahbas-e-gham (Pg. 47)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.