Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har su mausam nur pe tha jab miladon sat-sangon ka

Parwez Rahmani

har su mausam nur pe tha jab miladon sat-sangon ka

Parwez Rahmani

MORE BYParwez Rahmani

    har mausam nuur pe thā jab mīlādoñ sat-sañgoñ

    thā jhankār pe raag basantī suufī sunnat malañgoñ

    ghar ghar nachne naach rahe haiñ mahā-nagar ke tāloñ par

    gaañv ke bārah-māsoñ meñ dam TuuT gayā mardangoñ

    mere ahd ke bachche hindū muslim sikh īsā.ī haiñ

    aman bagiyā meñ hai ab to har pal mausam dañgoñ

    kyā ḳhush-marzī thī logoñ par logāñ jiite marte the

    dil vāloñ bastī meñ ab qabza hai man-tangoñ

    mulk mulk duryodhan mahshar-sāmān.ī par āmāda

    niil gagan bantā jaa.e maidān sitāra jañgoñ

    rājāoñ des thā ghar ghar hāthī jhūmā karte the

    aaj vahī bhārat 'rahmānī' mulk hai bhūkoñ nañgoñ

    har su mausam nur pe tha jab miladon sat-sangon ka

    tha jhankar pe rag basanti sufi sunnat malangon ka

    ghar ghar nachne nach rahe hain maha-nagar ke talon par

    ganw ke barah-mason mein dam TuT gaya mardangon ka

    mere ahd ke bachche hindu muslim sikh isai hain

    aman ki bagiya mein hai ab to har pal mausam dangon ka

    kya KHush-marzi thi logon par logan jite marte the

    dil walon ki basti mein ab qabza hai man-tangon ka

    mulk mulk duryodhan mahshar-samani par aamada

    nil gagan banta jae maidan sitara jangon ka

    rajaon ka des tha ghar ghar hathi jhuma karte the

    aaj wahi bhaarat 'rahmani' mulk hai bhukon nangon ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now