Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har taraf be-chehragi hai kis ka chehra dekhiye

Kalim Akhtar

har taraf be-chehragi hai kis ka chehra dekhiye

Kalim Akhtar

MORE BYKalim Akhtar

    har taraf be-chehragī hai kis chehra dekhiye

    ā.īna be-āb hai to ā.īna kyā dekhiye

    kis yaqīñ ne kis gumāñ ne kar diyā hai be-naqāb

    mere hone aur na hone tamāshā dekhiye

    ik bulandī par pahuñch kar ham sitāre tarah

    ḳhud chamak jaate haiñ to phir kyā sitārā dekhiye

    duur tak phailā huā hai naqsh-e-sahrā-e-sukūt

    zindagī ke moḌ par ḳhush-rañg sahrā dekhiye

    TukḌe-TukḌe ho ga.ī hai ā.inoñ zindagī

    ab inhī TukḌoñ meñ 'aḳhtar' apnā chehrā dekhiye

    har taraf be-chehragi hai kis ka chehra dekhiye

    aaina be-ab hai to aaina kya dekhiye

    kis yaqin ne kis guman ne kar diya hai be-naqab

    mere hone aur na hone ka tamasha dekhiye

    ek bulandi par pahunch kar hum sitare ki tarah

    KHud chamak jate hain to phir kya sitara dekhiye

    dur tak phaila hua hai naqsh-e-sahra-e-sukut

    zindagi ke moD par KHush-rang sahra dekhiye

    TukDe-TukDe ho gai hai aainon ki zindagi

    ab inhi TukDon mein 'aKHtar' apna chehra dekhiye

    Source:

    Khayal-e-Aab (Pg. 82)

    • Author: Kalim Akhtar
      • Publisher: Bazm-e-Magadh, Gaya
      • Year of Publication: 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now