aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har taraf mauj-e-bala ki si rawani dekhi

Jafar Sahni

har taraf mauj-e-bala ki si rawani dekhi

Jafar Sahni

MORE BYJafar Sahni

    har taraf mauj-e-balā ravānī dekhī

    ashk god meñ majbūr kahānī dekhī

    ham badalte rahe ishq meñ mausam ke magar

    ghar chaukhaT pe sadā gard purānī dekhī

    dard ke sahn ko dushman nahīñ jaanā ham ne

    is meñ dilkash na.ī duniyā nishānī dekhī

    dasht-e-vahshat numā.ish havāla de kar

    shahr-e-dildār ke tevar javānī dekhī

    chāñd tāroñ ke tale haath meñ ḳhanjar thāme

    muskurātī kahīñ ek divānī dekhī

    ek āvāz na.ī kaan meñ gūñjī us dam

    jab bhī tasvīr zamāne suhānī dekhī

    ḳhush-libāsī pe havāoñ na jaanā 'ja.afar'

    us ke halqe meñ pareshān raanī dekhī

    har taraf mauj-e-bala ki si rawani dekhi

    ashk ki god mein majbur kahani dekhi

    hum badalte hi rahe ishq mein mausam ke magar

    ghar ki chaukhaT pe sada gard purani dekhi

    dard ke sahn ko dushman nahin jaana hum ne

    is mein dilkash nai duniya ki nishani dekhi

    dasht-e-wahshat ki numaish ka hawala de kar

    shahr-e-dildar ke tewar ki jawani dekhi

    chand taron ke tale hath mein KHanjar thame

    muskuraati si kahin ek diwani dekhi

    ek aawaz nai kan mein gunji us dam

    jab bhi taswir zamane ki suhani dekhi

    KHush-libasi pe hawaon ki na jaana 'jafar'

    us ke halqe mein pareshan si rani dekhi

    Source:

    Shayad (Pg. 74)

    • Author: Jafar Sahni
      • Edition: 2012
      • Publisher: Yawar Hussain
      • Year of Publication: 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now