Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har taraf shor hai mani chaman-arai hai

Mani Jayasi

har taraf shor hai mani chaman-arai hai

Mani Jayasi

MORE BYMani Jayasi

    Interesting Fact

    November 1936

    har taraf shor hai 'mānī' chaman-ārā.ī hai

    bhī phir dars-e-fuġhāñ de ki bahār aa.ī hai

    be-talab sab ne yahāñ dād-e-sitam paa.ī hai

    hashr hai naala na karne meñ bhī rusvā.ī hai

    vāqa.ī kuchh nahīñ kuchh nazar aatā nahīñ

    dil-e-mahjūr ye zulmat hai ki tanhā.ī hai

    mudda.ā mere junūñ to hai tahsīn-e-bahār

    aur duniyā ye samajhtī hai ki saudā.ī hai

    āstāñ jazb-e-jabīñ hai magar ai fitrat-e-ishq

    maiñ huuñ aur hausla-e-nāsiya-farsā.ī hai

    aa ki imdād-e-tasavvur se bhī mahrūm huuñ ab

    aur dil sajda-e-āḳhir tamannā.ī hai

    sab rahe sirf badaltā rahā mahfil nizām

    hai aur silsila-e-anjuman-ārā.ī hai

    saare aalam raqābat junūñ hai mujh ko

    aur buniyād-e-junūñ aap yaktā.ī hai

    bhī hai un ke liye manzar-e-ibrat 'mānī'

    jin yuuñ dīda-e-hasrat se tamāshā.ī hai

    har taraf shor hai 'mani' chaman-arai hai

    tu bhi phir dars-e-fughan de ki bahaar aai hai

    be-talab sab ne yahan dad-e-sitam pai hai

    hashr hai nala na karne mein bhi ruswai hai

    waqai kuchh nahin ya kuchh nazar aata hi nahin

    dil-e-mahjur ye zulmat hai ki tanhai hai

    muddaa mere junun ka to hai tahsin-e-bahaar

    aur duniya ye samajhti hai ki saudai hai

    aastan jazb-e-jabin hai magar ai fitrat-e-ishq

    main hun aur hausla-e-nasiya-farsai hai

    aa ki imdad-e-tasawwur se bhi mahrum hun ab

    aur dil sajda-e-aKHir ka tamannai hai

    sab rahe sirf badalta raha mahfil ka nizam

    tu hai aur silsila-e-anjuman-arai hai

    sare aalam ki raqabat ka junun hai mujh ko

    aur buniyaad-e-junun aap ki yaktai hai

    tu bhi hai un ke liye manzar-e-ibrat 'mani'

    jin ka yun dida-e-hasrat se tamashai hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now