Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har tarah ka do-jahan mein saz hai saman hai

Taj Payami

har tarah ka do-jahan mein saz hai saman hai

Taj Payami

MORE BYTaj Payami

    har tarah do-jahāñ meñ saaz hai sāmān hai

    lafz-e-kun se irtiqā aur bhī imkān hai

    zaat ke irfān se hāsil rumūz-e-kā.enāt

    zaat se shā.ir ke hāsil husn vijdān hai

    ik tamāshā māh-o-gul āsmāñ se tā-zamīñ

    aadmī sad-rañg jalva dekh kar hairān hai

    sharm se ruḳhsār-e-gul kuchh aur gulgūñ ho gayā

    is asar par aa.ine aañkh bhī hairān hai

    aap jamhūriyat meñ sab to haiñ shā.ir nahīñ

    shā.erī har qaum tahzīb pahchān hai

    husn ko denā 'payāmī' shā.erī pairahan

    farsh se tā-arsh mauj-e-rang tūfān hai

    har tarah ka do-jahan mein saz hai saman hai

    lafz-e-kun se irtiqa ka aur bhi imkan hai

    zat ke irfan se hasil rumuz-e-kaenat

    zat se shair ke hasil husn ka wijdan hai

    ek tamasha mah-o-gul ka aasman se ta-zamin

    aadmi sad-rang jalwa dekh kar hairan hai

    sharm se ruKHsar-e-gul kuchh aur gulgun ho gaya

    is asar par aaine ki aankh bhi hairan hai

    aap ki jamhuriyat mein sab to hain shair nahin

    shaeri har qaum ki tahzib ki pahchan hai

    husn ko dena 'payami' shaeri ka pairahan

    farsh se ta-arsh mauj-e-rang ka tufan hai

    Source:

    Shair (Pg. 47)

      • Publisher: Nazir Noman Siddiqui
      • Year of Publication: 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now