Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

haram ki rah mein saqi ka ghar bhi aata hai

Qazi Ehtisham Bachhrauni

haram ki rah mein saqi ka ghar bhi aata hai

Qazi Ehtisham Bachhrauni

MORE BYQazi Ehtisham Bachhrauni

    haram raah meñ saaqī ghar bhī aatā hai

    safar meñ lamha-e-tark-e-safar bhī aatā hai

    tujhe ki parda-nashīñ ye hunar bhī aatā hai

    nazar bhī aatā nahīñ aur nazar bhī aatā hai

    dabī dabī zabāñ meñ ye pūchhnā qāsid

    kabhī ḳhayāl meñ āshufta-sar bhī aatā hai

    tumhārī baat hai kuchh aur yuuñ to aane ko

    ġharīb-ḳhāne pe aksar qamar bhī aatā hai

    ġhamoñ shaam hai be-shak magar udaas na ho

    ba-shakl-e-shām payām-e-sahr bhī aatā hai

    mirī tabāhī baa.is mirā nasīb sahī

    magar ye harf tirī zaat par bhī aatā hai

    javāb-e-ḳhat to ummīd 'ehtishām' kujā

    ye dekh lauT ke paiġhāmbar bhī aatā hai

    haram ki rah mein saqi ka ghar bhi aata hai

    safar mein lamha-e-tark-e-safar bhi aata hai

    tujhe ki parda-nashin ye hunar bhi aata hai

    nazar bhi aata nahin aur nazar bhi aata hai

    dabi dabi si zaban mein ye puchhna qasid

    kabhi KHayal mein aashufta-sar bhi aata hai

    tumhaari baat hai kuchh aur yun to aane ko

    gharib-KHane pe aksar qamar bhi aata hai

    ghamon ki sham hai be-shak magar udas na ho

    ba-shakl-e-sham payam-e-sahr bhi aata hai

    meri tabahi ka bais mera nasib sahi

    magar ye harf teri zat par bhi aata hai

    jawab-e-KHat ki to ummid 'ehtisham' kuja

    ye dekh lauT ke paighambar bhi aata hai

    Source:

    Kaif-e-Gazal (Pg. 131)

    • Author: Qazi Ehtisham Bachrauni
      • Edition: 2010
      • Publisher: Ehtisham Tailaring House, Amroha (U.P.)
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now